
Sarhad Ke Uss Paar by Chandan Mukherjee
Bare apno se lagte hai vo, jo Sarhad ke us par rehte hai
hum jaise nehi hai vo, log aksar aisa kehte hai….
Ajnabee ban chuke hai aaj, jo kabhi apne the,
rishto ka kabrastan hai vaha,jaha kabhi hasin sapne rehte the.
Jane pehchane se chehre the, ab to dhundle dhundle lagte hai,
zameen pai kichi thi lakeere kabhi, ab dilo mai darare dikhte hai.
Mundero par baithe chiriya gati thi jaha, aaj vaha par chikhe sunai deti hai,
jin maidano mai mele saj te the kabhi,aaj vaha par lashey dikhayi deti hai.
Ido mai jinke sino se lagte the, aaj unki darkane ,kyu sunai nehi deti ?
jin galio mai saath bachpan guzra tha ,aaj vo galia bhi dikhayi nehi deti.
Ghao the jo kabhi ,waqt ke saath ,aaj nasoor ban chuke hai,
is dil ne itna dard sameta hai, ki ye lab gungunana bhool chuke hai.
Yado ke Jungalo mai bhagta rehta hai dil,par jazbaat hai ke thakta nehi,
tute yado par ro parti hai aankhe,par in aansuo ka hisab koi rakhta nehi.
Bhoole nehi bhool ti vo sevaiyo ka swad, vo urte patang bhi bare yaad aate hai,
samne aate hai jab vo guzre lamhe ,to aankho se aansu chalak jate hai,
Bare apno se lagte hai vo, jo Sarhad ke us par rehte hai,
hum jaise nehi hai vo, log aksar aisa kehte hai…..
~ Chandan Mukherjee
Articles like this really grease the shafts of knweledgo.